Tuesday 22 July 2014

Aansoo SMS

By on 13:21
Welcome to the largest collection of aansoo sms. You can sen these aansoo sms to pakistan and india. Send these mobile aansoo sms message to your friends and enjoy.


Kahte Hain Ki Patthar Dil,
Kisi Ke Liye Aansu Nahi Bahate,
Par Sach To Yah Bhi Hai Ki Nadiyan,
Pahadon Se He Nikalti Hain.
****************************************************************
Jaan Bhi Mango Ge To Ye Soch Ke De Dein Ge
Inkaar Ke Sadmey Se TUM Aansoo Na Baha Do!!
****************************************************************
Dil Behlany K Liye Guftugu
Krte Hain Loog Hum Se
Maloom To Mujhy Bhi Hai
K Hum Kisi ko Achay Nahi Lagte.
****************************************************************
Mohabat mein aisi khairaat mili hai
zakhmon ki mujhe sogaat mili hai
khushi ki talash mein nikley they
magar ashkon ki barsaat mili hai
ujaaley tum ko Mubarak hoon janam
hum ko tareek raat hayat mili hai
*****************************************************************
Dekh Li Naa Mere Anso Ki Taqat Tum Ne
Raat Meri Ankhen Namm Thin
Aj Tera Sara Sheher Beegh Rha Hai
*****************************************************************
Rone Ki Saza Hy Na Rulane Ki Saza Hy
Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Ki Saza Hy
Haste Hen To Ankh Se Nikal Ate h Ansu
Ye Ek Shaks Ko Be-Inteha Chahne Ki Saza Hai….!!
*****************************************************************
Ek Insan Mila Jo Jeena Sikha Gaya,
Ansuo Ki Nami Ko Peena Sikha Gaya,
Kabhi Guzarti Thi Veerano Main Zinndagi Apni,
Woh Shaks Veerano Main Mehfil Saja Gaya.
*****************************************************************
Jo Ata Hai Khushi Ki Inteha Pr…
Boht Roye Thy Hm Us Aansu Ki Khatir
*****************************************************************
Barasty jaa rahey hain har aankh se aansu
Ye mahfil ki shaam bohat gamgeen hen…
*****************************************************************
Muskurahat se zada Ansoo
khaas hote hain Pata hy kyu?
Q k Muskuraht to sb k lye hoti he
Magr Aansu sirf un k lye hote hain
Jinhein Hm Khona Nhi Chahte
******************************************************************
Tapak Parhte Hai Aansoon,
Jab Teri Yaad Aati Hai,
Yeh Woh Barsaat Hai Jiska Koi Mosam Nahin Hota.
******************************************************************
Niklaa Hai Ek Aansu Nigahon Se Aaj Phir,
Kar Di Hai Har Ik Had Gamon Ne Paar Aaj Phir.
Choti Si Baat Kar Nahi Paati Nigahen Nam,
Yun Hi Nahi, Hai Baat Hui Khas Aaj Phir.
Aansu Ka Nigahon Se Koi Tod De Rishta,
Koi Aankhon Main Woh Hi Hansi Le Aaye Aaj Fir
*******************************************************************
Hanste Huey, Aankhon Mein Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Yoon Khushi Ko Adhoora Sa Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Dard Itna Hai Saha, Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka Jaane Kahan Say
Aankhon Mein Bhar Jaate Hain Ye Aansoo
Khush Hoon Main, Koi Shikwa Zamane Say Na Taqdeer Say Meri
Iss Baat Ko Jhoota Kyun Bana Jaate Hain Ye
********************************************************************
Kabhi Palkon Pe Aansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat HAI
Jo Aata Hai Woh Jataa Hai Yeh Duniya Aani Jaani Hai
Yahan Her Shaks Musafir Hai Safar Mein Zindagani Hai
Ujalon Ki Zaroorat Hai Andhera Meri Kismat Hai
Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai
Zara Aye Zindagi Dum Le Tera Deedar Toh Kar Loo
Kabhi Dekha Nahin Jis Ko Uska Deedaar Toh Ker Loo
Abhi Se Chhod Kar Mat Jaa Abhi Teri Zaroorat Hai
Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai
Koi Anjaan Sa Chehraa Ubhar Tha Hai Fizaaon Mein
Yeh Kis Ki Aahatein Jagee Meri Khamosh Rahon Mein
Abhi Aye Mout Naa Aanaa Mera Thikaana Jannat Hai
Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai
******************************************************************
iss khayal se aansoo Chhupa liye Hum ne,
Udaas reh ker kissi kO udaas kya karna
******************************************************************
Meri rooh ki haqeeqat mery aansuon se pooch!
Mera majlisi tabassum mera tarjumaan nahin hai. .
*****************************************************************
Guftugu kejiye k ye fitrat-e-insan hai
Shakeb
Jaalay lag jatay hain jab band makaan hota hai. . !
*****************************************************************
Na kisi ki aankh ka noor hoon,
na kisi ke dil ka qaraar hoon,
Kisi bhi kaam mein jo na aa sake
mein woh musht-e-ghubaar hoon..
*****************************************************************
Tumhari yaad aati hay to hum ansu bahatay hain,
Guzaray thay kabhi jo sath din wo yaad aatay hain,
Isi umeed pe hum ne khula rakha hay darwaza,
Suna hay shaam hotay he bichray lot aatay hain,
Haqarat say na dekho ay ehl-e-saahil toofan ko,
Kabhi aesa bhi hota ha kinaray doob jatay hain,
Kisi say kya gila karna ye dastoor hay zamanay ka,
Naye jab dost miltay hain puranay bhool jatay hain.
*****************************************************************
Kabhi jo hum nahi hon gay Kaho kis ko batao gay??
wo apni Uljhanay sari.. Wo bechaini mein doobay pal..
Wo ankhon mein chhupay aansu.. Kisay phir tm dikhao gay??
Kbhi jo hum nahi hon gay.. Boht bechain ho gay tum..
tanha bohat reh jao gay.. Abhi b tum nahi samjhay..
Hamari un-kahi batain.. Magr jab yaad aayen gay..
bohat tum ko rulayen gay.. bohat chaho gay phir b tum..
hmain na dhoond pao gay.. “kabhi jo hum nahi hon gye… !
******************************************************************
Zara C chot lage to wo aansu baha deti hy,
Apni sukoon bhari goad me hum ko sula deti hy!
Karte hen khafa hum jb, to chutki me bhula deti hy,
Hote hen khafa hum jb, to duniya ko bhula deti hy,
Mat gustakhi krna LOGO us MAA se Q k.
jb wo chor k jati hy To ghar ko qabristan bana deti hy.
KHUDA hr kisi ki MAA ko salamat rakhe or
jis ne ye msg send kiya us ki maa ko bi salamat rakhe AMEEN
******************************************************************
Ham dil ke dard ko zubaan per laate nahi!
Ham apni aankhon se aansu bahate nahi!
Zakham kitna hi gehra kyun na ho!
DANISH
ham dettol ke siwa kuch lgate nahi.
******************************************************************
sara hi sheher uske janazay mai tha shareek
Tanhaiyon ke khof se jo shakhs mar gaya
******************************************************************
“Ye bhi acha hai k hum “ACHAY” nahi Hain……!!!” “DOST”
“Kisi ki aankh may ansoo to nahi hongy hamary mar jany k baad..!
*****************************************************************
Uski Ankhon me koi dard bsa ha shaid,
Ya mjhe wehm hwa ha shaid,
Me ne pucha k bhol gy hu tm bhi mjhe,
Ponjh k aanso us ne kaha shaid..
*****************************************************************
Likhna to tha ke khush hoon tere bager bhi,
Aansuu magar kalam se pehle hi girr gaye…
*****************************************************************
Raat, Darwaze Pe,
Kitni Dastakon K
Zakham the Mohsin…..
Phir Wohi
Pagal Hawa Thi,
Phir Mujhe
Dhoka Hua…..
*****************************************************************
Palkon k kinarey jo hum ne kbi bhigoye nai,
Inhen lagta hy k hum kbi roye nai,
Pochte hen kise dkhte ho sapn0n mein,
Inhen kia maloom k hum bars0n se soye nahi..
*****************************************************************
Na gila hai koi halaat say na shikayetain teri zaat sy
Khud hi saray warq juda hovay meri zindagi ki kitab sy
Tjy chaaha tha tjy pa liya Tjy pa k bhi kho dya
Mjy khawahishon ki thi Aarzo meri zindagi main azaab thy
Meri wehshaton ki raah main faqat mehfilon k saraab thay
Katti umar jin ki talaash mai
meray ratt jagon k wohi khawaab thy
Youn bhatak bhatak k tamam umar mjy kuch b hasil nahi hova
Jinhain kho diya teray ishq main
wo sapnay be-hisaab thy
****************************************************************
Aaya hi tha khayal k ankain chalak gahain.
Aanson kisi k yaad k kitne qareeb thy.
****************************************************************
mujhaY tum nazaR se giRa tu rahaY ho
mujhaY tum kabhi be bhula na sakoo gaye
najanaY mujhaY keN yaqeen ho chala ha
meraY payaR ko tum mita na sakOo gaye
meRi yaad ho ghi jidheR jawo gaye tum
kabhi nagma bun k kabi bun k ansoo
tarpta mujhay haR taraf paoO gaye tum
kisi ne jo poocha sabab ansooN ka
batna be chaoO bata na sakoO gaye
kabhi naam meRa jo batooN maiN aia
tu bechain ho ho k dil thaam lo gaye
nigahooN main chaiey gha ka ghum ka andhera
shama jo jala’ey ha meri wafa ne
bhujana be chaOo bhuja na sako gaye
****************************************************************
Nigahon k Tasadum Se Ajab
takrar Kerti Hy
Yaqeen Kamil Nahi Lekin Guman
Hy Pyar Kerti Hy
Laraz Jata Hoon Main Ye Soch k
Kafir Na Ho Jao n
Tabiyat Us ki Pooja Pe Bara
Israar Krti Hy
Usay maloom Hy Shayad Mera D
Hy Nishane Per
Labo n se Kuch Nahi Kehti
Nazar Se Waar Kerti Hy
Main Us Se Poochta Hoon Khwab
Mein “Mohabbat Hy Mujh Se ”
Phir Aankhein Khol Deta Hoon
jab Wo Izhaar Kerti Hy…
*****************************************************************
Palkon ki had tor kar daman pe aa gira.
Aik ansu mere sabar ki toheen kar gaya.
*****************************************************************
Aansu Se Kaha K Tanhai Ma Aya Karo
Itne Sare Logo Ma Mazak Na Banaya Karo
Ispe Aansu Tarap K Bola
Itne Logo Ma Aap Ko Tanha Paya
To Sath Dene Chala Aya
*****************************************************************
Aansoon ma doob gyi yeh zindgi meri
Woh kya jany !thee woh bandgi meri
Nai janta ma zamany ke yeh fareib
Payar se loot gaya woh saadgi meri
Jaan dy di ma ne us k liay hansty hansty
Woh kya jany zindgi se kya ha narazgi meri
Apny he hoty han youn ilzam lagany waly “Ateeq”
Warna logo ko kya khabar kyu ha yeh awargi meri
*****************************************************************
Shikwe hain zuban pe taqdir ke mare hain
Daman bhi hamare hain aansoo bhi hamare hain
Kisi ke ek aansoo per hazaron dil tadapte hain
Kisi ka umar bhar rona yonhi bekar jata hain
*****************************************************************
Mere israr pr aakhir,
Boht majbur ho kr aaj,
Mujhe Apni nigahon ki,
Udasi sounp di us ny,
Boht be-bas, boht tanha,
Boht bikhri muhabbat ki,
Haqiqat khol di us ny,
Khalish jo us k dil mein thi,
Wo ab meri amanat hai,
Shikasta lehjy ki jitni bhi,
Thakan thi, bol di us ny,
Kisi ki khatir jo mujh ko,
Apni muhabbat keh nahi paya,
Magar aaj apny aansuon se,
Muhabbat tol di us ny?
*****************************************************************
Mairey Israar Per Aakhir
Bohat Majboor Ho Ker Aaj
Mujhey Apni Nigaahon Ki
Udaasi Sonp Di Uss Ne
Bohat Be-bas Bohat Tanha
Bohat Bikhri Mohabbat Ki
Haqeeqat Khol Di Uss Ne
Khalish Jo Uss Ke Dil Mein Thi
Woh Abb Meri Amanat Hai
Shikasta Lehjey Ki Jitni Thakan Thi
Bol Di Uss Ne
Mairi Kahtir Mujhey Apni Mohabbat
Keh Nahin Paya
Magar Aaj Apney Aansoo Say Mohabbat
Tol Di Uss Ne
“2 Ajnabi dost”
*****************************************************************
Wo jo badalta hai to besakhta meri aankhain……
Apny Hathon ki lakeeron mein ulaj jati hain….
*****************************************************************
un ki tusveron ko sene se laga lete hain,
iss tra judai ka ghum mita lete hain,
kisi trah on ka zikar ho jae to,
begi palkon ko juka lete hain,
******************************************************************
Kch log zamane ma aisay bhi to hote hein
Mehfil ma to hanstay hein tanhai ma rote hein
******************************************************************
Jo dard ke sehra main akela bhi bahot hai
Us ke liye deewar ka saya bhi bahot hai
Dekha nahi tanhai main tum ne kabhi us ko
Bichray huay logon ko woh roya bhi bahot hai
Kuch tujhko muhabbat pe yaqeen na wafa pe
Kuch dukh meri taqdeer main likha bhi bahot hai
Beenayi andheroon se bhala kesay bachaata
Ik shakhs tere hijr main jaga bhi bahot hai
******************************************************************
Aansu ke chand boondon se wo rishtaa humara tod gaye
Tanha chhod ke humein gumon ko humara keh gaye
Unki ye anokhi aada kya thi hum ab tak na samajhe
Aur dardon ke baarish mein hum the ki akele reh gaye
******************************************************************
Gham ki aahat bhi na
aaye tere dar pe
pyar k smundar ka
tu kinara ho
kabhi bhool k jo tapkay
teri aankh se moti
thamay wohi hath jo
tujhe sub se pyara ho
******************************************************************
Zubaan se naam lete hain,
Aankhon se aansu chalak jaate hain.
hazaro baatein kiya karte the,
Aaj ek baat ke liye taras jaate hai.
******************************************************************
ik raat hui
barsat boht
main rooya sari
raat boht…
her gham tha
zamane ka lekin
main tanha tha
us raat boht
phir aankh se ek
saawan barsa…..
jab subah hui
to khayal aaya
wo badal kitna
tanha tha…..
jo barsa saari
raat boht…..
*****************************************************************
Maine kaha Maut ko thorde din tal jaa,,
Maut ne kaha teri kisi ko jaroorat nahi tu chala aa,
Maine kaha koi hai jo humare liye jeeta hai,,,,
Maut ne kaha isliye tu roj paani ki jagah aansu peeta hai
*****************************************************************
Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko…
*****************************************************************
Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere
Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe
Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri
Isliye Hum Aansu Bahate Rahe
*****************************************************************
Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo
Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo
Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo
Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo
Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo…
*****************************************************************
Us ke ankhon ma koe dukh basa ha shayed
ya mjhe khud he veham hua ha shayed
main na pucha k bhool gay ho mjh ko
poanch kar ankhein mjhey us na kaha
SHAYED?
******************************************************************

0 comments:

Post a Comment